Thursday, September 25, 2014

Shayarana...

11.    Sang jaroori hain badal ka beshaq...
 Warna sirf bijaliyon se barish ka sama nahi banta...

22.  Waqt aur aashiq ek hi mizaz ke hain..
Dosti geheri hain samajh ke aage badho to dono zindagi nark bana dete hain...

33.  Mausiki to bass bahana hain...
Ham to isliye peete hain ki koi hamdard mil jaye

44.  Mahaknedo hazaron phoolon ki kyariya...
Chehekno do lakon panchiyon ki kilkariyaan..
Ye sab bhi raas na aaye bimar-e-ishq dil ko..
Hamein rizaa paaye so bass yaron ki yariyaan

55.  Dil to hain masoom.. Kamjargh dosti ko ishq samajh baitha....
Warna ham bhi hote kahi kaamyabi ke shikhar pe...

66.  Kabhi hua karta tha ye hunar-e-khaas...
Aajkal toote dil bhi paida kiya karte hain kayi shayar galiyon me...

77.  Likhkte likhte toot jaaye yah ungliyaan to bhi kya....
Hamari dastaan bayaan ho paaye yahi masoom si koshish rahegi...

88.  Mohobbat ko kar na badnaam ae nadaan...
Is sajish ko samajh paaye itna kamjargh tera dil nahi...

99.  Hum to the anjaan maqsad-e-zindagi se...
Aapka hone me hi hamari shaqsiyat bani rahegi...